Wafa ki umeed na karna unse jinko pyaar ki samajh nai ,
Aise bas ate jate muskura dena wafa toh nai.
Wade hazar karo bina soche samjhe ,
Pukare dil jab chahat se bahana bana dete hain kai.
Hasraton ki mazil pe pad jate hain darar,
Kavi baith ki dil se socho toh sahi.
********************************************
Haste hain sheher wale kahani bebasi ka sun ke,
Par Chahat itni hai maja deti hai nasur banke .
Hum baithe hain mazbur unki intezar mai,
Bhul rahe muskurana din w din ..kya yahi hota hai pyaar mai?
***************************************************
Teri hasraten badi hain jo tune mujhe thukra dia
Hui hogi khata mujh se koi par tune toh berukhi ko apna adat sa bana lia
***************************************************
Mohabbaat ki charche teri sunta hun toh thoda bura lagta hai mujhe
Khuda ki nazar tujh pe hai e sanam dilon ko roondna apni adat na bana le

No comments:
Post a Comment